Monday, October 7, 2013

Leherein

Kuch to khaas hai in lehro me

Jo mujhse yun takrati hai,

Shor me khamoshi jaisi,

Subah ki pheli angadayi jaisi,

Jaise ho koi tamanna adhuri si,

Na jaane kisko chuna chahti hai.

Koi baat chupaye hai shayad apne seene mein,

Kuch to kehna chahti hai,

Kayi ankahi kahaniya dabi hai andar,

Awaaz lagakr mujhko bulati hai,

Samajh ni paati me inki jubaan,

To shayad ruth jaati hai,

Ufaan ki tarah aati hai,

Or maati k mehel ki tarah mujhko baha le jaati hai.

Rokna ni chahti me bhi khudko

Bas saath chalti jaati hu,

Thoda sa laut aati hu

Or thoda sa beh jaati hu.

1 comment:

  1. […] Bangla Saheb Gurudwara over any other religious place. It is all about faith and for a place like Puri which is one of the holiest cities in the country, discrimination on the basis of religion is not […]

    ReplyDelete